Sunday, December 03, 2006

....nahi

Woh chamak nahi woh prem nahi, ankhon ki bichti sej nahi

More aanchal mein rang bhar de, aisa koi rangrej nahi

Aate the roz hi vyapari, shabdon ki bikvali karne

Kahin kriya nahi, ras-svad nahi, shabdon ka khilta mel nahi

Aahutiyan dene aate the, bam bole kehkar gate the

Aise bhi kapalik dekhe jinke shareer par ret nahi

Sanidhya tumhara milta gar, mai bhi shayad kuch likh leta

Ab manthan na ho pata hai, mera vaisa parivesh nahi

Kya tum kavitavli-sanrakshak ka patr ada kar paaoge

Mere haathon se le jaao, ab lagta hai yeh khel nahi

2 comments:

Anonymous said...

kahan khoye wo bhavbhooti praththviraj ka sa tej nahi

wo angrej gaye, par amanavta kun yahin rahi

ye desh hai mukhi-gaan karta, par khush kunn har bachha nahi

bikwali to karte hain sabhi apni, koi bhavnaon ka dukandar nahi

kahi mann nahi, manavta nahi, kho jayen jismein ye dard wo anchal nahi..

Anonymous said...

too good......but bordering on the pessimistic to an extent...jab lagne lage ki 'yeh khel nahin' to mano ki pehli sidi par hui! mubarak ho!