Saturday, December 13, 2014

Kuch Yaar Aise Bhi .....



Tumhari mehfil mei gul-e-bebak khila karte tha
Aaj khaamosh teemardaron ka zakheera hai yeh

Zuban pe taale lagaane wale yeh bhool gaye
Mehfil ki saan-o-shauqat kapdon se na thi

Purani dariya ko behte dena salaahiyat hai naazir
Naye mijaz ke baandhon ki umr par yaqeen nahi

Pinjaron ko sajaane ka hunar seekh lo qaatil
Udane ki chahton pe shiqanja kas lo
har ek takht ki taaseer alag hoti hai
Use jeemane ka dhang to muhaiyya kar lo

Muqammal khalifahat to khuda bhi nahi chala pata
Khud ko khuda maanane ki galti na kar baitho kahin

Aaj ko kal mei badalte der nahi lagti
Bulao do char faqeeron ko, aur sun lo sakhi 

Saturday, May 26, 2012

Mai Aadivaasi


Phati kameezein, matmaili dhoti
Haath mei raashan card ki jholi
Tooti sadkein, gehre gaddhe
Chote kaandhein, bojh se dhalke
Mai roz thapede khakar gati - mai aadivasi, mai aadivasi

Meri shiksha, Meri rachna, Meri sanskriti, Meri ichha
Mere sparsh mei jo bhi aata
Tum kehte ho - sab kuch maati - mai aadivasi, mai aadivasi

Itihaas mera mai bhool rahi hoon
Bhavishya mujhe to diya nahi hai
Vartamaan ki chakki mein
Aawaz Meri fir fir pis jaati - mai aadivasi, mai aadivasi

Raajneeti ke uthale vaade
Karkash baatein, sankeern iraade
Mere choolhe ke baasan mei
Daal bhaat au kankad aate
Meri jeevan trishna tumko
Har paanch saal ek baar suhati - mai aadivasi, mai aadivasi

Mere bachche fir bade huye hain
Kaagaz ke tukade bahut diye hain
Ek baar to unki khaatir
Nayi leek rakh do O saathi - mai aadvivasi, mai aadivasi

Mai na aadambar ki premi
Na mehlon mei koi saheli
Ek baar sab swarth bhulakar
Pehna do saamarthya ki bedi
Kahin kshitij ki sandhya dekh
Chehek uthe mera bhi naati - mai aadivasi, mai aadivasi

Yeh mook shail phir bol uthein
Ye nadiyain phir se behek uthein
In silver oak ke vrikshon se
Aawaz uthei jaise banmaali - yeh aadivasi, yeh aadivasi

Friday, August 05, 2011

Sab Kuch Galat




Agar mai samaaj hoon aur apni hi vyatha gaane ka prayatn karoon


Yeh bhi galat kiya hai maine

Woh bhi galat kiya hai maine
sab kuch galat kiya hai maine
jeevan galat jiya hai maine

ganga ki dhara se milkar
khud ko patit kiya hai maine

Upanishadon ki pavan vedi
Brahm vakya ki khari safedi
Nalanda se takshshila tak
dhoondh raha tha gyan ki reti
Kurukshetra ke maidano se
Varnashram ko jiya hai maine

Yeh bhi galat kiya hai maine
Woh bhi galat kya hai maine

Nari durga thi, nari kaali thi
Nari apni kalkatte wali thi
Nari mamta thi, nari shakti thi
Sadiyon ki paramparik bhakti thi
Anginat chitaon ki lapton mein
Nari ko arpit kiya hai maine

Yeh bhi galat kiya hai maine
Woh bhi galat kya hai maine

Baghon ke daant gina karte the
Lav Kush bade saja karte the
Nav prasoon ki kilkaari par
koti phool khila karte the
Aaj unhi chote maathon par
Bal majoor likha hain maine

Yeh bhi galat kiya hai maine
Woh bhi galat kya hai maine

Yunan, Misr, Ruma bhale mit gaye jahan se
Semaaon ke ghatne se log nahi mara karte the
Talwaron ki chaanv tale
Auron ne bhi aahutiyan di thin
Satya dharm ki raksha mei
Dadhichi ne asthiyan di thin
Aatataiyon ki hinsa ka
Maqool jawab hua karta tha
Par Aurangzeb ke dar ke karan
Bichua pehen liya tha maine

Yeh bhi galat kiya hai maine
Woh bhi galat kya hai maine

Shaam ko tum jab ghar aate ho
Sahi salamat dikh jaate ho
Visfoton ki parchayi tale
Fir ek naya jeevan paate ho
(Tab) Sathiyai aazaadi
Dohra deti hai guhar wahi
Mazhab ki chardiwari se
Is desh ko baant diya hai maine

Yeh bhi galat kiya hai maine
Woh bhi galat kya hai maine

Tum grahan karo, aur mai arpan
Tum paap karo, aur mai tarpan
Tere charnon mei jo guzra
Keh dete hain usko jeevan
(Arre) Tere Amritpan ki khatir
Vish ko grahan kiya hai maine

Yeh bhi galat kiya hai maine
Woh bhi galat kya hai maine

Thursday, June 02, 2011

Roads Are Vectors - I

Kuch ek sadakein shaant swabhav ki hoti hain, aapke saath bina kisi badsalooki ke chalti hain, na zyada mudti hain aur na hi laqeer ki tarah seedhi hoti hain. Ghani chaanv wale pedon ki shaagirdagi karti hain, thode bahut pyaau bhi mil jaate hain inke saath. Par yeh sadakein choti hoti hain, kisi badi ghumaavdaar akkhaad sadak ka hissa hoti hain. Zindagi mei idhar udhar bikhare falsafe bhare lamhon ki tarah, jo kaafi sanjeeda aur khaamosh hote hain.

Wednesday, May 11, 2011

Well Done Kid

Bahut bahut mubarak ho, aaj mujhe swarth ka arth samajh aaya, aapki safalta se na jaane kyon athaah khushi mili. Aap jab jab aisa kuch kareinge, hum door baithe muskurayeinge, akele kahin khade hokar zor se hans padeinge, gungune coffee ke cup se kahienge - ise kehte hain aashaon pe khara utarna. Bravo ! Worldz a carpet tonight and I shall cheer your success.

Wednesday, January 19, 2011

Shiqast kha rahe hain.....maza aa raha hai

Kuch sochkar maine kahin kuch nirnay liye the, kuch baareekiyon ka khayal rakhkha tha aur kuch ko nazarnadaz kar diya tha. Aaj ek pal ke liye aisa laga mano, pairon tale zameen khisak gayi ho aur athah andheri khayi se woh nazarandaz bareekiyan bula rahi hon. Kitabon mei rakhe purane gulab ki pankhudiyan jaise choone se apni murjhahat ki taazgi kho deti hain, theek usi tarah dil-o-dimag ki sankri galiyon mei pade khayalat agar ched diye jayein toh woh apni gungunahat kho dete hain. Mujhe zindagi ek baar fir ehsaas dila rahi hai ki na koi chota bada tha aur na hi kabhi hoga, samay samay ki baat hai, hum aap jitni jaldi apni khushfehmiyon se nikal aayein utna achcha. Aaghat kam lagega

Monday, September 20, 2010

To Jaane



Pyar se ranjish ka maza uthao to jaane
Koson door rehte huye nazdeek samajh aao to jaane
Thahake maar ke hansna to sabko aata hai
Bilakhti aankhon ke darmiyan muskurao to jaane

Kahin mazhab, kahin iman, kahin rishton ki qaid hai
Meri yaadon ki giraft ko bargalaao to jaane
Kapdon ki silwaton ko kisi ka intezar rehta hai
Khare paani se inhe nam kar jaao to jaane

Pyar se ranjish ka maza uthao to jaane

Soch rahe hain ki kuch achcha likh devein
Kuch der aur sahi kalam ban jaao to jaane
Sawal saikadon aate hain tumhe har pahar
Inme se kuch ke jawab dete jaao to jaane

Pyar se ranjish ka maza uthao to jaane

Humei badnaam karne ki koshishein sabne kari
Do chaar ashar tareef ke budbuda jaao to jaane
Tumhari hansi, kabhi natak, kabhi roothne ka khayal aata hai
Jab kuch sanjeeda hon tab yaad na aao to jaane

Pyar se ranjish ka maza uthao to jaane

Sawal pet ka na hota to hum bhi shahenshah the
Is qadar hamari halat pe na taras khaao to jaane
Badi shiddat se apne lamhon ko tarasha tha
In haseen lamho ko hum se na churao to jaane

Pyar se ranjish ka maza uthao to jaane