Aaj ek aur dhaga toot gaya, kal ki kuch yadon ko tatola to paya ki kahin khalipan sa tha. Kya mujhe koshish karni chahiye unhe fir se dhoondhne ki ? Kya unka itna mahatvv hai, kya ve zaroori hain mere astitv ke liye, kya mai matr ek sangya hoon bina unke ? Aise kai sawal zehen mein uthe aur kisi gaane ke aakhiri hisse mein doobte sangeet ki tarah dheere dheere khamosh ho gaye. Par yeh sawal un yadon ki tarah nahi hain, har baar panapte hain jab bhi koi dhaga toot jata hai. Ek nirantar chalti kriya hai, par mai anbhigyata ka dikhava karta andhere mein badha chala jata hoon. Gyan nahi ki path kahan le ja rahe hain aur kitne hain. Kai musafir milte hain aur bichadte hain, halanqi ab khushi is baat ki hai ki andhere mein koi dikhta nahi, woh kiska sparsh tha, woh kiske shabd the, na yaad rakhne ka prayatn hai na hi mansha. Yeh tiraskar hai ya badalte parivesh ko apnane ki antim pehel, mujhe nahi maloom, par jeevan ka satya hai. Kabhi path pradarshak hua karte the, kabhi mai raushani ke aagosh mein hasta khelta chala karta tha, na jaane kab aur kaise dhalte sooraj ke safar ko mehsoos nahi kar paya, kab pahar badle, kab shaam aayi aur kab andhere mein pehla kadam rakhkha.... pata hi nahi chala. Jab dhyan diya tab dhage tootne lage the, khud ko dilasa dena seekh liya tha aur peele kagaz par chelpark ki ink zaya ki ja rahi thi.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
5 comments:
Manke tutne ka kya afsos karna ki jab wo manka hi na samjha prem ka mahattava .
Jeevan bhagirath ki dhara, hota hi rahega pravahit anavrat Chelpark ki ink se gar hota hai man halka, kya harz hei istemaal mein.
Path to wohin rah jane hain, hamen chalna hai. Naveen Raston ki khoj par nikalna hai.
Tabhi hoga jeevan satya, tutega mithya ka bandhan.
Param sarthak parampita ka karz utrega, manavta hogi dhanya.
Jeevan ke path to kahi na kahi mil hi jane hai, jo duri hai wo kshanik hai.
Bas shart yahi hai ki hamen chalte jana hai, nirantar.
Very neat
jeevan mein har kisi ko kunn mukkamal jahan nahi milta
kisi ko jameen nahi milti, kisi ko asman nahi milta. [taken from anonymous]
kunn aisaa hota hai ki jab hum seekh rahe hote hai, aur tab hui galtian jeevan bhar ke liye durian paida kar deti hain. Is dauraan hui common mistakes ki sazaa hum apno se durr hokar kunn pate hain. Hum koshish karte hain ki kisi tarah galtiyaan sudhar saken, par shaayad yahi niyati ka niyam hai. Har galti ki sazaa hai, chahe wo nausikhiye se ho ya phir honhaar manjhe hue insaan se. kunn aisaa hota hai ki humari apno tak pahunchna ki har koshish jayaa ho jati hai aur hamen kabhi pata nahi chalta ki hum dhaga tutne se bacha kunn nahi paye....
ek nayi post ka samay aa chuka hai.. kab tak isi par comment karwayenge..
Bhrankush tatparya?
Post a Comment