Friday, November 17, 2006

Guroor Hota ....

Har lafz ko tarasha tune, har moti ko piroya

Har zazbe ko sambhala tune, har haar ko sanjoya

Kisi musafir se gairat ki ummeed bhi kar dali

Kisi bepanah hawa ko kabu karke bhi roya

Goya guroor hota to aaj sir chadh kar bolta

Tune to yahin paya hai aur yahin hai khoya

Tuesday, November 14, 2006

Khuda Ki Bhool

This was strictly meant for private circulation till he forced me to share -


Hai kahan ki himaat-e-marda jo tum se joojh le

Hai kahan woh pak-e-seerat jo yeh daman choom le

Tum kisi Gomukh ki Ganga, tum subah ka phool ho

Tum oss ka patte pe girna, Tum khuda ki bhool ho

Sunday, November 12, 2006

Zafarnama

In Hasraton se keh do, kahin aur ja basein
Itni jageh kahan hai dil-e-daghdar mein
Kitna hai badnaseeb Zafar dafan ke liye
Do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein

Under house arrest, so wrote Bahadur Shah Zafar.

Dilli se Burma tak zafar ke safar par ek koshish kisi oonchi imarat mein baithkar -

Aa Jamuna chal chalte hai, mujhe door bahut hai jana
Tere bahav mein dhalte hain, mujhe fir hai sheesh jhukana
Dekho yeh Taj ki parchayi, jab tumko yun choo leti hai
Mano Mumtaz ki thandi yaad, ek aayat si keh leti hai

Tum mil jaogi ganga mein, kho dogi apna naam vahan
Mai bebas sangam dekhoonga, dhoondhoonga koi saath naya
Shayad makool yahi hoga ki parchayi ke saath chaloon
Jhukte kandhe, dhalti shaamein, khali jamon ka vaar sahoon......

Kabhi kisi kavita ko beech mein choddna nahi chahiye, aap fir kitni bhi koshish kar lein, woh khayal aur woh alfazon ka roomanipan laut kar nahi aata. Aisa lagta hai ki kahin koi apna choot gaya aur ab haath badhane par uski yaadein bhi kasmasakar door ja rahi hain, mano aapse nafrat ho unko.