Monday, February 02, 2009

Kahan Aur Kaise



Keh gaya koi shayar ki badchalni kahan gayi
Thumri, kothe, paan ki peek wali ada kahan gayi
Surahi mei bhari huyi desi mehek kahan gayi
Peekdan, dastarkhan, meethi zuban, nigehbaan 
In masroof adaaon ki aabo hawa kahan gayi

Ab koi gazal dekhe bina gazal likhe to kaise likhe
Bina kisi tedhi raah ke kalam bhatke to kaise bhatke
Bina guleri, paan ke imaan kaise dagmagaye.....

Fir kabhi likheinge yaaron...