Har lafz ko tarasha tune, har moti ko piroya
Har zazbe ko sambhala tune, har haar ko sanjoya
Kisi musafir se gairat ki ummeed bhi kar dali
Kisi bepanah hawa ko kabu karke bhi roya
Goya guroor hota to aaj sir chadh kar bolta
Tune to yahin paya hai aur yahin hai khoya
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
6 comments:
Pane aur khone ke tarike juda juda hain
Kuch shikast dar shikast ko hatth bandhe dhote rahe
Kuch sar kalam kara pukhtagi ko musalsal badte rahe
Guroor bande mein nahin, fakth talkhi-e-aarzu ho
Khuda ki bhool ban aaye to mukam-e-arsh ki justju ho
Hai bhool siva-e-masad, rusukh to maksad-e-uboor ho
Makhlook-e-aam ka woh noor tab khuda ka guroor ho
Gurror se kya mani samajh baithe; sar chade to kusoor ho
Kalaam phir aapki nazar hai, is bar gustakhi na huzoor ho........
Hai kahan ki himaat-e-marda jo tum se joojh le
Hai kahan woh pak-e-seerat jo yeh daman choom le
Tum kisi Gomukh ki Ganga, tum subah ka phool ho
Tum oss ka patte pe girna, Tum khuda ki bhool ho
Tum aab-e-chirag, naqsh-e-mukamal, shokhi-e-suroor ho
khuda ki bhool goya meri rasai-e-nakabil ka uboor ho
Hai waqt mein maujein jo sang par tareekh tarash dein
Mashre mein kavayadein jo shokhi–e-rindan ko mat dein
Hai bhool haseen tuhfa-e-akhleek, barpe to janib e avsar zaroor ho
Pukhtagi-e hayat ko mukhatib, goya tumsa junun-o-makdoor ho
Waqt ko kya hoob tarasha tumnei, aaj khuda ka gurror ho
Fitna barpa to bhool tha, aaj rusookh ko uske salaam-e-ruh kubool ho
Waqt ko kya khoob tarasha tumnei, aaj khuda ka gurror ho
SAREER-E-KHAMA BULAND RAHE!
AAMEEN.
it is 'tuhfa-e-takhleek' and not 'tuhfa-e-akhleek' as i mistakingly stated. sorry.
Summameen !
niceeeeeeeeee
Jo guroor hota wo bhi aaj murjha jata,
Is haar ke aage kaun sa moti bikhre bin rah jata.
Jo tum na hote to ummeed ka daman kaise thama hota,
Jab khoya hi na hota to pane ki chahat kahan se aati.
Kabmakth jo ye guroor na hota, pane ki chahat na hoti
Khone ka gumm na hota.
Brilliant Lines:
Goya guroor hota to aaj sir chadh kar bolta
Tune to yahin paya hai aur yahin hai khoya
Post a Comment