Monday, December 11, 2006

Kafir ki Sangya

Mai shool nahi, pashan nahi, tarkash se nikala baan nahi
Mai tej nahi, abhiman nahi, mujhko bhasha ka gyan nahi
Mai bhoot nahi, mai yaad nahi, mai mrignayani ka aaj nahi
Mai karun vedna karte ... abhishapt yugon ka shrap nahi

Maine chaha tha man prasoon pulkit ho pehli kirno se
Maine chaha tha naav meri tar jaayein bhagwan charno se
Mai karm karoon, mai dhyan karoon, mai ras ka nav nirman karoon
Mai prem karoon, mai raag rachoo, mai sur ka nit - nit pan karoon

Mujhko vo kafir kehte hain, kehte hain mithya lobhi ho
Kanton se jhootha prem hai yeh, tum sarv karm sukh bhogi ho
Tum jhoothe chehre rakhte ho, jeevan ko manchit karte ho
Samidha ka dharan vesh kiye, tum chita prem ke jogi ho

Aisi aasha ka saath liye, na nikala tha jeevan path par
Aisa dveshlipt algaav liye, na natmastak tha tere dar par
Woh raah hi kuch aisi pakdi, woh ratein hi kuch kali thi
Tha takshshila ka rukh mera, kafir ki sangya pani thi
Tha takshshila ka rukh mera, kafir ki sangya pani thi



Jab parda girne wala hota hai, tab nepathya se jo sootradhar nikal kar aata hai use bhrankush kehte hain

4 comments:

Anonymous said...

ek behad swachh, nirmal rachna.
kavita sheershak kuch pasand nahi aaya. metra antim pankti mein kafir ki sangya ka ullekh kiya gaya jai jo is sheershak ki upukt-ta par ek sawalia chinh lagata hai...

Anonymous said...

'Jaana tha japan pahunch gaye cheen'
yahi upyukt tulna hai jeevan mein utpann vibhinn paristhition ki..
kabhi bhaan nahi hota ki kaise bikhra hua manka(moti)vaapas aapse aa milta hai..
par jo bhi ho, dunia mein punarmilan se sukhad anubhuti shaayad hi koi aur hoti hogi. Jisse aap milna chahte ho, aur agar uski jhalak dekhne ko mil jaye to upaji bhavnaon ka koi mol nahi hota..kyaa kahte hain?

Anonymous said...

touche...........wonderful

Anon said...

Naman!