Saturday, May 17, 2008

Kuch Nahi...Aise Hi...Aaj Mai Maun Hoon

Kahan kahan bhatak rahe hain shoonya chitt raaste

Tujhi ko dhoondh dhoondh ke huye hain past raaste

Too aaj bhi yaqeen hai, too aaj bhi chupa hua

Too aaj bhi dimag mei, hriday mei hai basa hua

Prshansaneeya hai mera tujhe yun dhoondhna guru

Tu woh kapaat hai prabhu jo khul ke na khula hua

Aseem tap kiye huye aadambari bhi dhoondhte

Achoot kehlate huye woh 'dalit' bhi hain poojte

Hai majal ki tere darshan mile kahin kabhi

Aaine ke saamne mai sadaiv tha khada hua

Ghee, doodh, naivedya, naye kahan se dhoondh laaun mai

Tere banaye phool hi tujh par chadhaun mai ?

Yeh khel hai, prem hai, ya rachnatmak lekh hai

Bahut kahaniyan suni, ab kaun sa yeh vesh hai

Prachand agni ki tarah kampit swar mein bol doon

Ya raag malhar mein chaashni sa ghol doon

Ek hi sawal hai, ek hi jaddojahet

Tu kaun hai, tera naam kya, tu kyon hai yun basa hua

Saturday, May 03, 2008

Aas...

With due apologies to BSJ and Faiz

Faiz se keh do kahin door ja marein
Itni jageh nahi hai dil-e-sharmsar mein
Kalam chala kar khushnaseeb zamindoz hain
Hum zakhm jhelte hain ulfat ke intezar mein