Friday, August 05, 2011

Sab Kuch Galat




Agar mai samaaj hoon aur apni hi vyatha gaane ka prayatn karoon


Yeh bhi galat kiya hai maine

Woh bhi galat kiya hai maine
sab kuch galat kiya hai maine
jeevan galat jiya hai maine

ganga ki dhara se milkar
khud ko patit kiya hai maine

Upanishadon ki pavan vedi
Brahm vakya ki khari safedi
Nalanda se takshshila tak
dhoondh raha tha gyan ki reti
Kurukshetra ke maidano se
Varnashram ko jiya hai maine

Yeh bhi galat kiya hai maine
Woh bhi galat kya hai maine

Nari durga thi, nari kaali thi
Nari apni kalkatte wali thi
Nari mamta thi, nari shakti thi
Sadiyon ki paramparik bhakti thi
Anginat chitaon ki lapton mein
Nari ko arpit kiya hai maine

Yeh bhi galat kiya hai maine
Woh bhi galat kya hai maine

Baghon ke daant gina karte the
Lav Kush bade saja karte the
Nav prasoon ki kilkaari par
koti phool khila karte the
Aaj unhi chote maathon par
Bal majoor likha hain maine

Yeh bhi galat kiya hai maine
Woh bhi galat kya hai maine

Yunan, Misr, Ruma bhale mit gaye jahan se
Semaaon ke ghatne se log nahi mara karte the
Talwaron ki chaanv tale
Auron ne bhi aahutiyan di thin
Satya dharm ki raksha mei
Dadhichi ne asthiyan di thin
Aatataiyon ki hinsa ka
Maqool jawab hua karta tha
Par Aurangzeb ke dar ke karan
Bichua pehen liya tha maine

Yeh bhi galat kiya hai maine
Woh bhi galat kya hai maine

Shaam ko tum jab ghar aate ho
Sahi salamat dikh jaate ho
Visfoton ki parchayi tale
Fir ek naya jeevan paate ho
(Tab) Sathiyai aazaadi
Dohra deti hai guhar wahi
Mazhab ki chardiwari se
Is desh ko baant diya hai maine

Yeh bhi galat kiya hai maine
Woh bhi galat kya hai maine

Tum grahan karo, aur mai arpan
Tum paap karo, aur mai tarpan
Tere charnon mei jo guzra
Keh dete hain usko jeevan
(Arre) Tere Amritpan ki khatir
Vish ko grahan kiya hai maine

Yeh bhi galat kiya hai maine
Woh bhi galat kya hai maine

11 comments:

Anonymous said...

no words....simply awesome!!!

Anon said...

main akele kya kar sakta tha
sarvajan jeevan nhn badal sakta tha
vyaktigat gaathaon ki asthiyon ko
apne andar grahan kiya hai maine
kisi ne kisi ka vaada toda,
kisi ne kisi ko marnasann phenka,
kuch ne sabke they ghar jalaye,
khud ke ghar-daah ke aavesh tale,
aapasi ranjishon ko maine sokha
sabke aansooun ko bhi maine pochha,
jab bhi galat kiya hai maine,
bhugtan bhi swayam kiya hai maine

Kanchan Dixit said...

Liked it. Very different post..

Kanchan Dixit said...

Time for another post !!

Anonymous said...

Aaj Narmada se Ganga ka raasta hatheli mein dhoop liye teh kiya.

'Sab kuch galat' ke baad itna galat kyun kya ki kuch bhi nahi likha itne dino se.

Madhusudhan said...

misra ji,
it was very good,
but I couldn't understand some words, am poor in hindi. how r u, this is madhu (ananthapur 99b3a7370) ps mate-nfc. my contact number is 9440585487, if possible send ur number. ab tho aap bade saab ban gaaya....

sukhdev sharma said...

I am very impressed by you. I am fond of your poetry. I start reading your blogs since i read your interview in CSR.
with best wishes
from-sukhdev sharma

Shushma said...

No post in a long time...What are you upto these days? Send me a note when you have a chance.

Anonymous said...

Is their any forum kind of a thing where you interact with civil service aspirants? I wanted to tell you that there are 2 people who were my inspiration to take up civils and you are one among them. I was a little disappointed when I got to know that you took up a session on a weekend in braintree because I haapen to miss the classes on that day though I am taking coaching over there. Also, wanted to tell that you write well and its been long since there has been a post on your blog.

Anonymous said...

Lagta hai ab toh aap tareefon ke aadi ho chuke ho. Did you ever come across any criticism so far or only praises?

Anonymous said...

samvedansheelta ki nishani hai ye jo khud me jhank pate hai

duniya ko nahi khud ko hi zimmedar maante hai

isliye khud se hi poochte hain ki kya sahi galat kiya hai maine