Friday, January 30, 2009

Galat Samajhna Mujhko ......




Galat samajhna mujhko, teri taqdeer ka fasana tha
Mere aagosh mei, teri yaadon ko yun hi toot jana tha
Salaamat rahe ye jazba, ki tere sajde mei sar jhukta hai
Gum-e-ishq ki kabr pe kafir, hume akele hi jana tha

Sazayafta mujrim, muqqarrar kar diye gaye hain hum
Teri zulfon ki salakhon ka parda, bas ik bahana tha
Galat samajhna mujhko, teri taqdeer ka fasana tha

Huye hain qatl kayi armaan mere, teri masjid mein
Halaavat-e-zindagi ka jaam, chalkate hi jana tha
Kahin paiband na lag jaaye, khuda tere resham pe
Hume do chakkiyon ke beech, yun hi piste jana tha
Galat samajhna mujhko, teri taqdeer ka fasana tha

Mausam ke mijazon mein tabdeeliyan dekhin
Aasman pe badlon ka vark badal gaya
Chashme ke dhaar kuch tez ho chali
Par tere gum ki bandish ko, mujhe hi gana tha
Galat samajhna mujhko, teri taqdeer ka fasana tha

Raat ki kaalikh mei, tum hume gore dikhe
Surme ki thandak tale, hamari aankh lag gayi
Jab uthe to quran pak par haath rakhkha tha
Mai hi mujrim tha aur mujhe hi faisala sunana tha
Galat samajhna mujhko, teri taqdeer ka fasana tha

Kaanpte honthon se, tere husn ka deedar kiya
Jhapakti aankhon se, maathe ko tere choom liya
Chala yeh silsila lekin, mai apne chabootare pe neelam tha
Teri maujoodagi mahaz, mazak-e-ishq ka afsana tha
Galat samajhna mujhko, teri taqdeer ka fasana tha

Goya lamhe, din, hafte, mahine, saal beet gaye hain
Teri yaadon ki baarsih mei, bahut bheeg gaye hain
Zakhm ko hara rakhne ki koshish fir bhi jaari hai
Tujhse gila shiqwa sach nahi, mahaz dostana tha
Galat samajhna mujhko teri taqdeer ka fasana tha.....






6 comments:

Kanchan Dixit said...

With every post you are limiting my words...what to say..? Have no to words to praise.Well i am the first to post a comment:)

Anonymous said...

good words again....plz write at least one post like bollywood song..Masakali2....making ur post more entertaning it is deeper need less to say

Unknown said...

Yeh dil bhi kisi naadan ki tarah zid par ada hai
Ya to ise sab kuch chahiye ya phir kuch bhi nahin...

Anonymous said...

teri aagosh mein meri yaadein bhale hi toot jaayein,
mere dil mein tere ishq ka ab bhi basera hai..
Bhale hi huye hon qatl kai armaan tere,
par chhan se jo tuta hai vo dil mera hai...

Kartikeya said...

Mujhe nahi maloom ki tareef kaise ki jaati hai, ya yun keh leejiye ki mai badtameez hoon, par jo likha gaya hai yahan usse dekhkar, mai har padhne wale ki tarah khushnaseeb hoon

Anonymous said...

In a place called time kisses were cheap, but where was a mouth like hers to be found?

In a place called time glances were many, but where were eyes like hers to be found?

In a place called time we curled our toes, but where was that time now to be found?