Friday, November 28, 2008

Mumbai @ Apollo Bunder

Nafrat ki aag mei jal raha hai Taj ka kinara
Aansoo baha raha hai Hindostan hamara
Toot rahi aas hai, thand padi saans hai
Nariman ke saamne, shamshan ka nazara
Aansoo baha rah hai Hindostan hamara

Chalees ghanton se soch raha neta hai
Pakistan, SIMI ya mujahiddeen par phenk doon
Ya Hindu algaav ka ise naya parivesh doon
Hilton ki manzilon se aati aag badi zor hai
Is aag ki garmi mein kya kya na senk loon

Is jung ke beej hum har paanch saal bote hain
Phir bhi goli khane par zar zar rote hain
Ghaav bada gehra hai, malham ka na thikana
Veeron ki aahuti mei hothon ka thartharana
Ruk ruk kar.....Aansoo baha raha hai hindostan hamara

5 comments:

Anonymous said...

..............bana ke fakiron ka hum bhes ghalib tamasha- e- ehle karam dekhte hain ...khayaban khayaban sitam dekhte hain.....how heart rending can a heart rending situation be..........? can the chasm between a psyche called jamshed ji tata and another called fidayeen ever be understood for the magnanimity it stands for- it certainly cant be bridged- not in the life time of our species.
sareer- e-khama buland rahe
aameen

Anonymous said...

apne to prasoon joshi ki bhi poem ko fail kar diya!!dunno why u decided 2 work in boring investment banking when u can become poet:)totally agree our netas r trying their level best to play blame game when r responsible for this attack

Kartikeya said...

koshish jaari hai

Anonymous said...

koshish karo kamyaab hoga India...koshish karo..kynoki tajmahal bhi kisi ki bemishal koshish ka hi natija hai...kyoki koshish saboot hai ki hum badalna chahtein hain aur hum badal ke hi raheinge...koshish karo:)

Anon said...

Aap hindi aur urdu mein, angrezi ki muqable zyada achcha likhte hain! Aapki hindi rachnaon mein tarannum hota hai, shabd kabhi kilkari karte hain, kabhi sahmein sahmein sach bayaan karte hain... Angrezi aapki bahut achchi hai, lekin hindi ki tarannum se peeche rah jaati hai