Tuesday, March 27, 2007

Dhoop..... Intezar

Ek muththi aasman lekar aaj mai ghar se nikla, mausam karvat le raha tha, kisi koonchi mein naye rang bhare ja rahe the aur savere ki suhani dhoop atkheliyan kar rahi thi. December ki woh bachpan wali subahei yaad aa gayin, jab nariyal ke tel se sar ki maalish kara hum dhoop sekne ke liye chat par baithte the aur jadoo ki tarah garma garam doodh jalebi ya samose aa jate the.

Koi sawal javab kar raha tha mujhse –

Tumne kuch naya likha kyon nahi ?

Samay hi na mila

Samay hi nahi mila ya kuch aur hai, pehle bhi to itna hi samay hua karta tha tumhare paas?

Haan par pehle likhne ke liye karan bhi hua karte the, aisa kuch hua hi nahi ki mai likhoon

Tumhe kyon hamesha kisi reason ka intezar rehta hai

Aise hi.....generally, tumhara phone kahan tha?

Yahin tha, mere paas......


Dhoop, tumhara intezar tha, tumhe chookar dekha
Tum gunguni aur sunehri, meri hatheli par khel rahi thi
Tum mujhe kisi purane baag ki or dhakel rahi thi
Jahan sookhe patte kadmo ke neeche charmarate
Tum oonche darakhton ke beech aankh michauli khelti
Kabhi mai tumhe choo lele ki koshish karta
Kabhi tum mujhko khud mein dubo leti
Dhoop, tumhara intezar tha