Tuesday, March 27, 2007

Dhoop..... Intezar

Ek muththi aasman lekar aaj mai ghar se nikla, mausam karvat le raha tha, kisi koonchi mein naye rang bhare ja rahe the aur savere ki suhani dhoop atkheliyan kar rahi thi. December ki woh bachpan wali subahei yaad aa gayin, jab nariyal ke tel se sar ki maalish kara hum dhoop sekne ke liye chat par baithte the aur jadoo ki tarah garma garam doodh jalebi ya samose aa jate the.

Koi sawal javab kar raha tha mujhse –

Tumne kuch naya likha kyon nahi ?

Samay hi na mila

Samay hi nahi mila ya kuch aur hai, pehle bhi to itna hi samay hua karta tha tumhare paas?

Haan par pehle likhne ke liye karan bhi hua karte the, aisa kuch hua hi nahi ki mai likhoon

Tumhe kyon hamesha kisi reason ka intezar rehta hai

Aise hi.....generally, tumhara phone kahan tha?

Yahin tha, mere paas......


Dhoop, tumhara intezar tha, tumhe chookar dekha
Tum gunguni aur sunehri, meri hatheli par khel rahi thi
Tum mujhe kisi purane baag ki or dhakel rahi thi
Jahan sookhe patte kadmo ke neeche charmarate
Tum oonche darakhton ke beech aankh michauli khelti
Kabhi mai tumhe choo lele ki koshish karta
Kabhi tum mujhko khud mein dubo leti
Dhoop, tumhara intezar tha

16 comments:

Anonymous said...

Dhoop aur nahi likh pane ko bhi is ladke ne LINK kar dia!I really liked " sar ki maalish kara hum dhoop sekne ke liye chat par baithte the aur jadoo ki tarah garma garam doodh jalebi ya samose aa jate the".
If Junoon ke shikhar..(earlier post) is 5 out of 5 this post is 4.5. Kabhi tum mujhko khud mein dubo leti..xtraordinary.

histrionix said...

'Dhoop, tumhara intezar tha'...yeah with winter here, that certainly seems apt:)

Unknown said...

The words do paint a vivid pitcure...Great attention to detail...Also reveals that the author takes time to become conversant with the stupendous creation around...The ability to see the world in one's own unique way is what gives the author his own unique style ...But compared to a host of other articles here ,this one merely skims the surface..It just doesn't go deeper...And it is not exaggeration when it is said that it is possible "to see the world in a grain of sand ,and a heaven in a wild flower "...And this heaven needs to be revealed in order to engage the reader...

Anonymous said...

Not so good, you can write much better.

MusicLover said...

:) nice,reminds me more of Pilani winters

MusicLover said...

:) nice,reminds me more of Pilani winters

Anonymous said...

Likhne ke liye kaaran nahi, bhavna ki jaroorat hoti hai.
Antardhvani ko rokna tab asaan nahi rah jaata

Samay to na kisi ke paas tha na kisi ke paas hoga,
Aakhir kisi dukaan par jo nahi bikta jo hum khareed lete use

Is ehsaas ka anubhav kiye to hamen bhi arsa hua
Par aapki post padhkar yaad aaya ki kabhi hum bhi yahi mahsoos karte the

Khuli chhat, nariyal ka tel, sar par dher saare baal
Aur garma-garam masale ki khushbhu mahkate samose.. Waah kya mahfil hoti thi wo

Par ab to roz subah AC ke andar apne saaathion ko 'marhaba' kahne mein hi din ki shuruat hoti hai.
Aur shaam ko AC bus mein hi sunset ka nazaara dekha jaata hai..

Anonymous said...

Last comment is written by whosoever, it's very nice, AC Bus se sunset dekhne waali baat bahut achchi hai. If you don't mind may I have your Bloganame please.

Anonymous said...

Your thoughts are totally awesome...

Anonymous said...

Hindustan aa ke Hindustan ki shaan mein aap kuch naya nahi likh rahe.

Anonymous said...

Not writing anything these days???Well please do so ...I didn't come across anything worth crticising since a long time ...

Anonymous said...

Dhoop ka Intezaar karte karte hum boodhe ho gaye, ab to kuch naya likh dijiye. Kuch thanda sa, sheetalta liye hue, man ko sukoon dene wala,please.

Anonymous said...

Aaj ki roshni atit ka dhyotak kyon?
Kyon na
Bhavishya ka karak ho?

Koi Purane baag ki or kyon?
Kyon na
Nootan khsitij paribhashit ho?

Intezar mein thame ho kyon?
Chalo to,
Shayad dhoop tumhari muntazar ho.

Anonymous said...

So when is it that we get to hear more from you ....And how much longer do we have to await it ???

Anonymous said...

nostalgic feeling revisited...
this said, doesnt conform to kartikeya's standards.. :)

Anon said...

A beautiful line:

Samay to na kisi ke paas tha na kisi ke paas hoga,
Aakhir kisi dukaan par jo nahi bikta jo hum khareed lete use

Aap jo bhi hain, achcha sochte hain!