Saturday, October 28, 2006

Galiyare - II

Khala ka zikr kiya tha usne, shayad apne dabte uthte roomanipan se kuch bharne ki bezuban koshish kar raha tha woh, maine use yeh likhkar bhej diya -

Taqazaa tha, ki ek tasawwuf si tishnagi jage, teri tasveer ke tasawwur se Ki tere taabish ki taasir, meri taqdeer ka ek talkh tamasha bane Ki zamindoz kar doon, mai woh taz-o-takht, woh shabab-e-seerat Ki teri nazron ke paimane, khuda ki panah ka paigam bane

Across the pond she ruminates over what was and what could have been, she isn't happy with the idea of giving him the freedom which he had already taken for granted and then she asks, "why do you write like this?"

Insaan jab bhi kuch likhta hai to shayad dil mein ek chahat hoti hai - koi ise padhe sarahe aur mujhe sunae, istemal kare in shabdon ka jahan yeh uchit hon. Aap likh kaisa bhi sakte hain, ya to gulazzar ki tarah sadharan shabdon mein ek muqqamal peshkash, ya mir taqi mir ki tarah zubani nafast se bhari nazm. Kuch yaad a raha hai -

Logon ne itni oonchi imartein bana di hain charon aur, ki woh mere hisse ka sooraj bhi kha gaye

Haan to hum baat khala ki kar rahe the, khala kyon aur kaise panapti hai -

Mere zehen ke nazdeek ek aahat si hui
Mujhe laga ki tere jism mein harkat si hui
Hasin makbare pe muqammal sa ek sher padha
Meri hokar bhi aye rab khala meri na hui

Har ek koshish ko ba-izzat darkinar karke, woh mere saath hi rehti rahi talkh-e-yaar ban ke
goya jism ko dhakne ki zaroorat thi kahin, woh nachati hi rahi mujhko sharmsar kar ke
Kisi ne pooch liya to hum bezuban nikale, usne samjha liya unhe mujh pe akhtiyar kar ke
Shayad khalayein aisi hi hoti ho ya rab.........

Tuesday, October 24, 2006

Galiyare I

Nirantar mehsoos kar pana zindagi ke un lamho ko, jo aapke astitv ko ek mayane dete hain

Raat ke veerane mein ek kali nadi ke saamne sharmindagi se sir jhuka kar sadak kinare pade paththar ko dhakelte huye achanak muskura padna

Dariya ke us par raushani ki chakachoundh ko har roz dekh thoda sa ghabra jana, fir sambhalna aur khud ko dhandhas badhana

sadak par woh chirparichit gandagi dhoondhna - woh seedhiyon par paan ki peek aur gali ke mod par kareene se rakhkha koode ka dher

Yaad karna us pehle kalam ko jisne kavita likhne mein tumhara saath diya tha kayi saal

Gir gir kar uthna aur aansoo ki dabi boond ko apne ahankar ke neeche punah daba lena

Kaisi hai yeh khudai aur kaisi yeh narazgi - yeh khel khelna aur bandon ko pyade bana lena