Kuch sochkar maine kahin kuch nirnay liye the, kuch baareekiyon ka khayal rakhkha tha aur kuch ko nazarnadaz kar diya tha. Aaj ek pal ke liye aisa laga mano, pairon tale zameen khisak gayi ho aur athah andheri khayi se woh nazarandaz bareekiyan bula rahi hon. Kitabon mei rakhe purane gulab ki pankhudiyan jaise choone se apni murjhahat ki taazgi kho deti hain, theek usi tarah dil-o-dimag ki sankri galiyon mei pade khayalat agar ched diye jayein toh woh apni gungunahat kho dete hain. Mujhe zindagi ek baar fir ehsaas dila rahi hai ki na koi chota bada tha aur na hi kabhi hoga, samay samay ki baat hai, hum aap jitni jaldi apni khushfehmiyon se nikal aayein utna achcha. Aaghat kam lagega
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
7 comments:
What is this entry about?Apparently about crucifying your ego.Is it sir?
"You seek escape from pain. I seek the achievement of happiness."
John Galt(Atlas Shrugged)
Kahin kabhi kisi ke pairon tale zameen khiskai bhi to hai tumne, gulabon ko zor se jhinjhodkar muskuraye bhi toh ho.
Zakhmon ka len-den toh laga hi raha hai. Phir aaghat is taraf ho ya us, dard dono hi jaga hota hai. Chote bade ki kya baat hai bhai isme?
lovely...simply awesome.
ab-so-lu-te-ly impeccable
kartik u hv been @ ur best alvez.... n u prove to be..:)
Why not in English..it would have really helped..
murjhahat ki taazgi... beautiful
Post a Comment