Monday, September 20, 2010
To Jaane
Pyar se ranjish ka maza uthao to jaane
Koson door rehte huye nazdeek samajh aao to jaane
Thahake maar ke hansna to sabko aata hai
Bilakhti aankhon ke darmiyan muskurao to jaane
Kahin mazhab, kahin iman, kahin rishton ki qaid hai
Meri yaadon ki giraft ko bargalaao to jaane
Kapdon ki silwaton ko kisi ka intezar rehta hai
Khare paani se inhe nam kar jaao to jaane
Pyar se ranjish ka maza uthao to jaane
Soch rahe hain ki kuch achcha likh devein
Kuch der aur sahi kalam ban jaao to jaane
Sawal saikadon aate hain tumhe har pahar
Inme se kuch ke jawab dete jaao to jaane
Pyar se ranjish ka maza uthao to jaane
Humei badnaam karne ki koshishein sabne kari
Do chaar ashar tareef ke budbuda jaao to jaane
Tumhari hansi, kabhi natak, kabhi roothne ka khayal aata hai
Jab kuch sanjeeda hon tab yaad na aao to jaane
Pyar se ranjish ka maza uthao to jaane
Sawal pet ka na hota to hum bhi shahenshah the
Is qadar hamari halat pe na taras khaao to jaane
Badi shiddat se apne lamhon ko tarasha tha
In haseen lamho ko hum se na churao to jaane
Pyar se ranjish ka maza uthao to jaane
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
22 comments:
inherently good poem..so creative..
Waah waah....jitni tareef ki jaye kam hai misra ji iss post par...sach me shaam ban gayi ise padh kar...:-)
Good work Haina..
kisi doosre ke dil main utar kar dekho to jaane
kabhi uski nazaron se dekho to jaane....
Kabhi khwabon ki duniya ko asliyat banao toh jaane...
Jeevan ke har gam main hansi dhoondho toh jaane...
Apni hansi ke liye aansoo bahana bahut asaan hai...
Doosre ke aansuon ko hansi banao toh jaane....
It is not really love when I say that for me you are the most beloved; love is to me that you are the knife, which I turn within myself.
-- Kafka in a letter to Milena Jesenska
Hmmmm...nice..loved reading the poem. Your poems deserve special attention and recognition!! Ram Jaane :)
kitna talak hai is dil mein pehchano to jaane...ek baar mujhe aazma ke dekho to jaane.....
hum to hain bus tumhari parchayi....ab mujhse door jao to jaane...
wah mere ram milan..Now to be or not to be..this is my quetion :)
aap to haina the yeh ram milan kab ho gaye?waise acha naam hai :)
साकी, जब है पास तुम्हारे इतनी थोड़ी सी हाला,
क्यों पीने की अभिलषा से, करते सबको मतवाला,
हम पिस पिसकर मरते हैं, तुम छिप छिपकर मुसकाते हो,
हाय, हमारी पीड़ा से है क्रीड़ा करती मधुशाला
Bhai aap kaise hain?suna hai aajkal maharaj Vizak mein hain?Aap to raja hain IIM mein bhi the wahan bhi raja jo honge.Kun kehta hai ki aasman mein ched ho sakta nahi,ek pathar to tabiyat se uchalu yaaron..Kuch yaad aaya kya?
Jeevan mein ek sitara tha
Maana woh behad pyara tha
Woh doob gaya to doob gaya
Ambar ke aanan ko dekho
Kitne iske tare toote
Kitne iske pyare choote
Par bolo toote taron par
Kab ambar shok manata hai
Jo beet gayi so baat gayi...
Good One!! Someone's smitten ;) How are you doing??
diwali mubarak mere dost..
Deepawali ki dheron shubhkamnayein !!
I am fine, hope all is well on all fronts with everyone
laakhon tare aashman mein ek magar dhoone naa mila,dekh ki duniya ki diwali dil mera chupchap jala..
too good
Ish sal sabhi ka bhala ho..jai maa sharda devi..
Zindagi mein kuch aisa bhi hota hai,pyason ko pani nahi milta aur samandar kinaare nadiya milti hain :)
Rangat aisi charhi, rang tumhara le kar
Kye se kya ho gaye hum naam tumhara le kar
- Bulleh Shah
Post a Comment