Thirakte kadmo aur nasheeli saanso ke darmiyan kahi gayi baat
Chaukhat ke paas badalte zamane ki raushni ko andhere ki maat
Aangan mei padi tooti charpayi par os ke boondon ki bisaat
Tumhare dabe hue kadmo ki aahat ki aarzoo mei ghar ke kapat
Gusalkhane mei tapakte pani ka sannate ke hriday par aaghat
Aur kisi bebas ma ki aankhon mei guzarte intezaar ke lamhat
kuch aise hi -
Halqi peeli chadar odh kar karvat leti hai har raat, karvat leti hai har raat
Kitne khushnaseeb hain hum ki na kal ka hosh hai aur kal ki yaad