Tuesday, July 03, 2007
Baarish
Garm khichadi ki bhaap mein pighalta ghee; din ke andhere mein baithak se aati Farida Khanum ki awaaz - aaj jaane ki zid na karo; stand par phaile adh-sookhe kapde; naraz samundar ke sur se sur milati tez lahrein; pahadi se neeche utarti maddham aur thandi hawa; badalon se aankh michauli khelta havai jahaz; table par rakhkhi Mr. God This is Anna, ke hawa mein palatate panne; ek ek inch khisakti gadi aur gadi ke bahar zindagi ka shor; masheeno ki tarah idhar udhar beparvah daudte log; Samundar ke kinare khada paani ki cheento se bheeg jaane ka intezar karta mai aur achanak kisi sajish ki tarah shuru hui baarish; baarish, jo kabhi thamne ka naam nahi leti, jo jeevan ke har ek zarre par apna haq samajhti aur jatati hai; baarish, jo jeevan samapt kar deti hai aur nav nirman karti hai; baarish, jo bepanah aur beparvah hai, jo kabhi muskurati to kabhi ghranit nigahon se dekhti hai; baarish, jiske saath mai rehna seekh raha hoon, yeh kehna seekh raha hoon - mere naye shaher ki nayi baarish aa tujhe aagosh mein le loon bebu ......
Subscribe to:
Posts (Atom)