Saturday, May 26, 2012

Mai Aadivaasi


Phati kameezein, matmaili dhoti
Haath mei raashan card ki jholi
Tooti sadkein, gehre gaddhe
Chote kaandhein, bojh se dhalke
Mai roz thapede khakar gati - mai aadivasi, mai aadivasi

Meri shiksha, Meri rachna, Meri sanskriti, Meri ichha
Mere sparsh mei jo bhi aata
Tum kehte ho - sab kuch maati - mai aadivasi, mai aadivasi

Itihaas mera mai bhool rahi hoon
Bhavishya mujhe to diya nahi hai
Vartamaan ki chakki mein
Aawaz Meri fir fir pis jaati - mai aadivasi, mai aadivasi

Raajneeti ke uthale vaade
Karkash baatein, sankeern iraade
Mere choolhe ke baasan mei
Daal bhaat au kankad aate
Meri jeevan trishna tumko
Har paanch saal ek baar suhati - mai aadivasi, mai aadivasi

Mere bachche fir bade huye hain
Kaagaz ke tukade bahut diye hain
Ek baar to unki khaatir
Nayi leek rakh do O saathi - mai aadvivasi, mai aadivasi

Mai na aadambar ki premi
Na mehlon mei koi saheli
Ek baar sab swarth bhulakar
Pehna do saamarthya ki bedi
Kahin kshitij ki sandhya dekh
Chehek uthe mera bhi naati - mai aadivasi, mai aadivasi

Yeh mook shail phir bol uthein
Ye nadiyain phir se behek uthein
In silver oak ke vrikshon se
Aawaz uthei jaise banmaali - yeh aadivasi, yeh aadivasi