Friday, August 05, 2011

Sab Kuch Galat




Agar mai samaaj hoon aur apni hi vyatha gaane ka prayatn karoon


Yeh bhi galat kiya hai maine

Woh bhi galat kiya hai maine
sab kuch galat kiya hai maine
jeevan galat jiya hai maine

ganga ki dhara se milkar
khud ko patit kiya hai maine

Upanishadon ki pavan vedi
Brahm vakya ki khari safedi
Nalanda se takshshila tak
dhoondh raha tha gyan ki reti
Kurukshetra ke maidano se
Varnashram ko jiya hai maine

Yeh bhi galat kiya hai maine
Woh bhi galat kya hai maine

Nari durga thi, nari kaali thi
Nari apni kalkatte wali thi
Nari mamta thi, nari shakti thi
Sadiyon ki paramparik bhakti thi
Anginat chitaon ki lapton mein
Nari ko arpit kiya hai maine

Yeh bhi galat kiya hai maine
Woh bhi galat kya hai maine

Baghon ke daant gina karte the
Lav Kush bade saja karte the
Nav prasoon ki kilkaari par
koti phool khila karte the
Aaj unhi chote maathon par
Bal majoor likha hain maine

Yeh bhi galat kiya hai maine
Woh bhi galat kya hai maine

Yunan, Misr, Ruma bhale mit gaye jahan se
Semaaon ke ghatne se log nahi mara karte the
Talwaron ki chaanv tale
Auron ne bhi aahutiyan di thin
Satya dharm ki raksha mei
Dadhichi ne asthiyan di thin
Aatataiyon ki hinsa ka
Maqool jawab hua karta tha
Par Aurangzeb ke dar ke karan
Bichua pehen liya tha maine

Yeh bhi galat kiya hai maine
Woh bhi galat kya hai maine

Shaam ko tum jab ghar aate ho
Sahi salamat dikh jaate ho
Visfoton ki parchayi tale
Fir ek naya jeevan paate ho
(Tab) Sathiyai aazaadi
Dohra deti hai guhar wahi
Mazhab ki chardiwari se
Is desh ko baant diya hai maine

Yeh bhi galat kiya hai maine
Woh bhi galat kya hai maine

Tum grahan karo, aur mai arpan
Tum paap karo, aur mai tarpan
Tere charnon mei jo guzra
Keh dete hain usko jeevan
(Arre) Tere Amritpan ki khatir
Vish ko grahan kiya hai maine

Yeh bhi galat kiya hai maine
Woh bhi galat kya hai maine