Monday, September 20, 2010

To Jaane



Pyar se ranjish ka maza uthao to jaane
Koson door rehte huye nazdeek samajh aao to jaane
Thahake maar ke hansna to sabko aata hai
Bilakhti aankhon ke darmiyan muskurao to jaane

Kahin mazhab, kahin iman, kahin rishton ki qaid hai
Meri yaadon ki giraft ko bargalaao to jaane
Kapdon ki silwaton ko kisi ka intezar rehta hai
Khare paani se inhe nam kar jaao to jaane

Pyar se ranjish ka maza uthao to jaane

Soch rahe hain ki kuch achcha likh devein
Kuch der aur sahi kalam ban jaao to jaane
Sawal saikadon aate hain tumhe har pahar
Inme se kuch ke jawab dete jaao to jaane

Pyar se ranjish ka maza uthao to jaane

Humei badnaam karne ki koshishein sabne kari
Do chaar ashar tareef ke budbuda jaao to jaane
Tumhari hansi, kabhi natak, kabhi roothne ka khayal aata hai
Jab kuch sanjeeda hon tab yaad na aao to jaane

Pyar se ranjish ka maza uthao to jaane

Sawal pet ka na hota to hum bhi shahenshah the
Is qadar hamari halat pe na taras khaao to jaane
Badi shiddat se apne lamhon ko tarasha tha
In haseen lamho ko hum se na churao to jaane

Pyar se ranjish ka maza uthao to jaane