Friday, January 30, 2009

Galat Samajhna Mujhko ......




Galat samajhna mujhko, teri taqdeer ka fasana tha
Mere aagosh mei, teri yaadon ko yun hi toot jana tha
Salaamat rahe ye jazba, ki tere sajde mei sar jhukta hai
Gum-e-ishq ki kabr pe kafir, hume akele hi jana tha

Sazayafta mujrim, muqqarrar kar diye gaye hain hum
Teri zulfon ki salakhon ka parda, bas ik bahana tha
Galat samajhna mujhko, teri taqdeer ka fasana tha

Huye hain qatl kayi armaan mere, teri masjid mein
Halaavat-e-zindagi ka jaam, chalkate hi jana tha
Kahin paiband na lag jaaye, khuda tere resham pe
Hume do chakkiyon ke beech, yun hi piste jana tha
Galat samajhna mujhko, teri taqdeer ka fasana tha

Mausam ke mijazon mein tabdeeliyan dekhin
Aasman pe badlon ka vark badal gaya
Chashme ke dhaar kuch tez ho chali
Par tere gum ki bandish ko, mujhe hi gana tha
Galat samajhna mujhko, teri taqdeer ka fasana tha

Raat ki kaalikh mei, tum hume gore dikhe
Surme ki thandak tale, hamari aankh lag gayi
Jab uthe to quran pak par haath rakhkha tha
Mai hi mujrim tha aur mujhe hi faisala sunana tha
Galat samajhna mujhko, teri taqdeer ka fasana tha

Kaanpte honthon se, tere husn ka deedar kiya
Jhapakti aankhon se, maathe ko tere choom liya
Chala yeh silsila lekin, mai apne chabootare pe neelam tha
Teri maujoodagi mahaz, mazak-e-ishq ka afsana tha
Galat samajhna mujhko, teri taqdeer ka fasana tha

Goya lamhe, din, hafte, mahine, saal beet gaye hain
Teri yaadon ki baarsih mei, bahut bheeg gaye hain
Zakhm ko hara rakhne ki koshish fir bhi jaari hai
Tujhse gila shiqwa sach nahi, mahaz dostana tha
Galat samajhna mujhko teri taqdeer ka fasana tha.....






Friday, January 09, 2009

Pata Nahi.....


kis raushani ka daman pakad kar tu yahan aaya hai
kis rehnuma ki hausalaafzai itni muqqamal ho gayi
kis rishtey ki dor ki taabish ne yeh chamak de di
kis raastey ke mod par manzil dikhai di
kiski saans ki garmi ne yeh badddimag hausala diya
kis rangrez ke gulab ne tujhe sarobar kar diya
kis vakaye ke jhooth ko tune sach samajh liya
kis der ke intezar ko tune haq samajh liya
kis zulf ki chaanv ko tu lapete tehel raha
kis junoo ki yaad ko tu samete tehel raha

Is dasht mei kai firkaparast hain ................