Monday, December 25, 2006

Woh Hisse ...

Darmiyan sookhte darakhton ke, aaj jab nazar utha kar dekha toh kshitij par kahin door ek badal ka lihaf udta nazar aaya. Dagmagate kadam baarsih ki nirlajj boondon ko andekha kar badh chale, ki railing ke sahare tek lagayeinge aur oonchi imarton ko paani ke is taraf se samajhne ki koshish kareinge. mai chala, mere kadam badhe, par woh wahin reh gaya. Pehli baar nahi hua hai aisa, bahut baar peeche choot chuka hoon, is martaba baarish zor ki thi aur railing ki taraf badhti peeth zehen mein dar paida kar rahi thi. Hisse choddkar chal padna seerat na ban jaye kahin yeh dua har dar pe mang chuka hoon. Us adalat mein meri arzi pahunchti hi nahi aur jab bulayeinge tab yeh nahi dekheinge ki meri kitini koshishon ko unhone khud hi nazarandaz kar diya tha. Kaash mujhe sangeet ka gyan hota, kaash mai sur aur taal samajh sakta - kehte hain ki gaane wala apni rooh ka koi hissa chodd jata hai hamesha ke liye apni nazmo mein, kuch seekh leta ki har baar kam hote aap, kaise naye raaste tai kar lete hain ...................... mehfil-e-dard ke siva thikaane kaise mil jaate hain

Monday, December 11, 2006

Kafir ki Sangya

Mai shool nahi, pashan nahi, tarkash se nikala baan nahi
Mai tej nahi, abhiman nahi, mujhko bhasha ka gyan nahi
Mai bhoot nahi, mai yaad nahi, mai mrignayani ka aaj nahi
Mai karun vedna karte ... abhishapt yugon ka shrap nahi

Maine chaha tha man prasoon pulkit ho pehli kirno se
Maine chaha tha naav meri tar jaayein bhagwan charno se
Mai karm karoon, mai dhyan karoon, mai ras ka nav nirman karoon
Mai prem karoon, mai raag rachoo, mai sur ka nit - nit pan karoon

Mujhko vo kafir kehte hain, kehte hain mithya lobhi ho
Kanton se jhootha prem hai yeh, tum sarv karm sukh bhogi ho
Tum jhoothe chehre rakhte ho, jeevan ko manchit karte ho
Samidha ka dharan vesh kiye, tum chita prem ke jogi ho

Aisi aasha ka saath liye, na nikala tha jeevan path par
Aisa dveshlipt algaav liye, na natmastak tha tere dar par
Woh raah hi kuch aisi pakdi, woh ratein hi kuch kali thi
Tha takshshila ka rukh mera, kafir ki sangya pani thi
Tha takshshila ka rukh mera, kafir ki sangya pani thi



Jab parda girne wala hota hai, tab nepathya se jo sootradhar nikal kar aata hai use bhrankush kehte hain

Monday, December 04, 2006

Peele Kagaz aur Chelpark ki Ink

Aaj ek aur dhaga toot gaya, kal ki kuch yadon ko tatola to paya ki kahin khalipan sa tha. Kya mujhe koshish karni chahiye unhe fir se dhoondhne ki ? Kya unka itna mahatvv hai, kya ve zaroori hain mere astitv ke liye, kya mai matr ek sangya hoon bina unke ? Aise kai sawal zehen mein uthe aur kisi gaane ke aakhiri hisse mein doobte sangeet ki tarah dheere dheere khamosh ho gaye. Par yeh sawal un yadon ki tarah nahi hain, har baar panapte hain jab bhi koi dhaga toot jata hai. Ek nirantar chalti kriya hai, par mai anbhigyata ka dikhava karta andhere mein badha chala jata hoon. Gyan nahi ki path kahan le ja rahe hain aur kitne hain. Kai musafir milte hain aur bichadte hain, halanqi ab khushi is baat ki hai ki andhere mein koi dikhta nahi, woh kiska sparsh tha, woh kiske shabd the, na yaad rakhne ka prayatn hai na hi mansha. Yeh tiraskar hai ya badalte parivesh ko apnane ki antim pehel, mujhe nahi maloom, par jeevan ka satya hai. Kabhi path pradarshak hua karte the, kabhi mai raushani ke aagosh mein hasta khelta chala karta tha, na jaane kab aur kaise dhalte sooraj ke safar ko mehsoos nahi kar paya, kab pahar badle, kab shaam aayi aur kab andhere mein pehla kadam rakhkha.... pata hi nahi chala. Jab dhyan diya tab dhage tootne lage the, khud ko dilasa dena seekh liya tha aur peele kagaz par chelpark ki ink zaya ki ja rahi thi.

Sunday, December 03, 2006

....nahi

Woh chamak nahi woh prem nahi, ankhon ki bichti sej nahi

More aanchal mein rang bhar de, aisa koi rangrej nahi

Aate the roz hi vyapari, shabdon ki bikvali karne

Kahin kriya nahi, ras-svad nahi, shabdon ka khilta mel nahi

Aahutiyan dene aate the, bam bole kehkar gate the

Aise bhi kapalik dekhe jinke shareer par ret nahi

Sanidhya tumhara milta gar, mai bhi shayad kuch likh leta

Ab manthan na ho pata hai, mera vaisa parivesh nahi

Kya tum kavitavli-sanrakshak ka patr ada kar paaoge

Mere haathon se le jaao, ab lagta hai yeh khel nahi